
Dear Driver-Partners
Pichle teen saal se, aap aur hum milkar raftar de rahe hai iss shehar ko jisse hum apna ghar maante hai – Humari Apni Mumbai. Iss dhande ko aapne aur humne ek saath milkar shuru kiya, kadi mehnat aur lagan se kathinayon ka saamna karte hue aage badhaya. Ek saath aaj iss mukaam tak pohonchne ka aur is poore safar ka hum sabhi ko behadd garv hai.
Pichle hafton mein, kuch vishay kaafi charche mein rahe hai, jaise ki Uber par chalana kaisa hota hai, driver ki kamaai, incentives aur aapke prati humari pratibaddhata. Hum chahte hai ki ek baat saaf-saaf sabit ho jaye, ki hum hamesha apne driver partner ke hit mein kaam karte hai, aur aage bhi unke laabh ke liye hi kaam karte rahenge. Taaki aapke mann mein koi shanka na rahe, kuch seedhe sawaalon ke seedhe jawab:
Humare liye sabhi driver partner ek samaan hai:
Samay ke saath driver kamaai bhi vikasit hui hai. Ho sakta hai ki kuch drivers ki kamaai 3 saal pehle wali rakam se kam ho, lekin humein bharosa hai ki aaj bhi Uber Mumbai mein chalane par hone wali kamaai zyadatar logon ke liye aakarshak hai. Humare liye sabhi driver partner ek samaan hai, aur Uber kisi bhi driver partner varg ke liye koi bhed bhav nahi karta, chahe woh trips ho ya kuch aur.
Aapke sahyog ke bina customer aur sheher ko aage badhana Uber ke liye aasaan nahi
Uber ka kaam hai shehar ki raftaar ko hamesha chalaate rakhna, aur yeh karne ke liye aap sabhi driver partner ka online rehkar sahyog dena anivaarya hai. Iske chalte hamesha hamari koshish hoti hai ki aapke liye Uber par chalana faaydemand rahe. Iss samay bhi, 80% driver partner joh din mein 6 ghante se jyada online rehte hai, woh Uber Service Fee katne ke baad din ka net ₹2,500 tak kamaate hai.
Demand aur keemat ka santulan banaye rakhna
Aapko hamesha bhaade milte rahe, iske liye jaruri hai ki Uber apne customer ke liye bhi bhaade ki keemat yogya rakhe. Keemat sahi rakhne se hi bhaade badhte rahenge, aur saath hi badhega aapka dhanda bhi. Issi ke chalte pichle kuch mahinon se humne prati minute ke bhaade Rs. 1 se badhakar Rs.1.5 kar diye hai, and lambe bhaadon prati km ka extra bhaada badha diya hai.
Drivers apni adhiktam kamaai ki kshamata badha sakte hai
Uber par kitni kamaai hoti hai, yeh gaadi chalaane ke samay, jagah aur ghanton par nirbhar karta hai. Agar driver peak ghanton mein chalaye jab incentives aur kamaane ki kshamata adhik hoti hai, poore sheher mein bhaade uthane ke liye tayar ho aur na sirf kuch chuninda kshetra mein, aur jyada se jyada bhaade uthakar poora kare, toh driver partner abhi adhiktam kamaai badha sakte hai
Uber mein rider cancellation ke liye koi penalty nahi hai
Agar koi customer bhaada cancel karta hai aur aapko 5 min se jyada ho chuka tha, toh driver partner ko cancellation fee diya jaata hai – uberGO par Rs. 60, uberX par Rs.100 aur uberBLACK/XL par Rs.150. Iske chalte humari koshish rehti hai ki aapko customer location tak pohonchne ka kharcha mil jaye, aur aapko aise kisi bhaade cancellation se koi nuksaan na ho.
Uber par ratings paaradarshee hai aur kam rating ki koi penalty nahi hai
Apni trip rating, rider ke diye gaye tippani aur apni kamaai se sambandhit poori jaankari aapko apne Uber Partner app mein mil jayegi. Kisi bhi driver partner ko kam rating ke liye penalty nahi hai. Humari koshish hamesha rehti hai ki driver partner ko apni rating aur driving sudharne ki training dete rahe aur unko aage badhne ka protsahan dete rahe.
Humein aap sabhi ki chintaon ka khayal hai, aur poori koshish kar rahe hai ki aapki madad karte rahe. Kisi bhi galat dhaarna ko kam karne ke liye hum apne sanchaar ko behtar karne ka kaam karte rahenge. Aapke aur hamaare iss saath ko majboot rakhne ke liye hum hamesha pratibaddh hain.
Agar kisi bhi tarah hi madad ki zarurat pade, toh aap humse kabhi bhi sampark kar sakte hai:
- Support helpline: 022-3399-2233
- In-person Support: 1B/39, Paragon Plaza, Phoenix Market City, LBS Marg, Kurla(W), Mumbai – 400070
- In-app Support: Uber Partner App
Aapka Apna,
Shailesh Sawlani
General Manager, Mumbai
प्रकाशक का नाम :- Shailesh